Monday 23 July 2012

Zindagi main hum ne es ko bhi hunar jana

Zindagi main hum ne es ko bhi hunar jana
Iqrar-e-wafa karna, phir us se mukar jana

Jab khawab nahi koi, kia zindagi ka karna
Har subha ko ji uthna har raat ko mar jana

Shab bhar k Thikanay ko ek chatt k siwa kia hai
Kia waqt pe ghar jana, kia dair se ghar aana

Aisa na ho darya main tum baar-e-garaa'n thehro
Jab Log ziada hon kashti se utar jana

Suqraat k peene se kia mujh pe ayaa'n hota
Khud zeher piya maine tab us ka asar jana

Jab bhi nazar aao Ge
hum tum ko pukarai'n ge
Chaho tau thehar jana chaho tau Guzar jana.

No comments:

Post a Comment