Sunday 25 September 2011

Tasveer e shahkaar


Parindon Ne Kabhi Firqaa Parasti Nahii Dekhi

Parindon Ne Kabhi Firqaa Parasti Nahii Dekhi.......

Kabhi Mandir Mein Jaa Bethey Kabhi Masjiid Mein Jaa Bethey......!

Mahir Tha Vo SiyaaSat e Hijar

Mahir Tha Vo SiyaaSat e Hijar o ViSaal Main........

Us Ne Kabhi Raqeeb Ko Chaha, Kabhi Hamain......!!!

Saturday 24 September 2011

Mohabbat seekh ker kerna.

Mohabbat seekh ker kerna.
K bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai.
Girebaan taar hota hai.
Kabhi inkar hota hai Kabhi iqrar hota hai.

Mohabbat seekh ker kerna..
K bin seekhe mhabbat to serabon ki kahani hai
Dukhon ke raj-dhani hi
Jo kal ban jaay ga baadal
ye dariya ka wo pani hai.

Mohabbat seekh ker kerna...
K bin seekhe mohabbat to azab-a-zindgi thehri
Sarab-a-zindgi thehri
Na ho takmil jis ki wo
Kitab-a-zindgi thehri.

ISI KHATIR TO KAHTA HOON KISI AUSTAD-A-KAMIL SE
MOHABBAT SEEKH KER KERNA

Mita do naam tak mera

Mita do naam tak mera kitabe zindagi se tum........

Magar pal pal roolayegi stayegi kami meri.......!!!!!

Uss Ke baghair Agarchey Meri Umar kat gayi

Uss Ke baghair Agarchey Meri Umar kat gayi
Lekin haya'at Kitney Anaasir Mein bat gayi
 
Me ne usy khareed lia chahaton k baho'o
Phir yun hua Ke Qeemat e bazar ghat gayi
 
Behthi hui Thi oout Mein Khawabon ki Chandni
Main Dekhney Laga to dareechey se hat gayi
 
Loogon Ne Meri shkal k Tukrey utha Liye
Tasweer Meri Chahney Waalon Mein bat gayi
 
Ghar chorney ka Jab b Irada kia MOHSIN
Qadmon se uski yaad ki khushbu Lipat gayi
   (Mohsin naQvi)

Friday 23 September 2011

Ranjish hi sahi dil ko dukhany

Ranjish hi sahi dil ko dukhany k liye ah....
Ah phr sy mujy choor k jany k liye ah....
Ik umer se hOn lazat-e-gariyaa se MehroOm...

Aey Rahat-e-jaa'n Mujh kO rulaanay k liye aa................

Main apni cheez

Main apni cheez kisi or ko kiu dun.....

Main apny pyaar main bachon ki tarah hun........

Thursday 22 September 2011

Dyaar-E-Gher mei Mehram

Dyaar-E-Gher mei Mehram Agar Nhi Koi........
to Faiz Zikr-E-Watan Apne Ru Baru Hi Sahi ......

Hamay B Pata Tha K Log

Hamay B Pata Tha K Log Badal Jatay Hain,.......

Magr Hum Ne Usay Kabi Logo Mai Gina he Na Tha......

Tuesday 13 September 2011

Sada muskurate raha karo..

Meri Laghzishen na Chuna karo
Meri Ghaltiyan na Gina Karo,

Ye Qadam Qadam ki Hudood kya
Mere sath sath chala karo,

main khulay mizaj ka shakhs hoon
main takallufat se Mawra

ye jo Mehrbani ka lafz hai,
ise tum na mujh se kaha karo,

Kahin tum na ho jao besakun
koi Bad'dua na tumhain lage

ye jo khoye khoye se log hain
inhe dekh kar na hasa karo

ye dua hai Rab-e-Rahim se
Teri Tazgi ko khizan na ho

ye bahar tujh se jala kare
sada muskurate raha karo
Sada muskurate raha karo..