Sunday 5 June 2011

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise

log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise

ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise

maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise

aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise

hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise

zindagii beet rahii hai “daanish”
ek bejurm sazaa ho jaise

Mohabbat, Muqaddar hai

Mohabbat, Muqaddar hai koi khwab nahi
Ye Wo Ada Hai Jisme sab Kamyab  Nahi...........

JINHE PANAH MILI.... UNHE UNGLIYO PE GIN LO,
JO BARBAAD HUYE UNKA HISAAB NAHI .............

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari

Humay Chahiya Bus Ta’aluq Tumhara
Muhabbat Milay Yah Adawat Tumhari

Kisi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina
...Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa
Bari Munfarid hay Tabiyat Tumhari

Humhay Zindagi Kay Kaen Rastoon Par
Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari............!

Kon Dekhega Woh Machaltey

Kon Dekhega Woh Machaltey Aur Sulagtey Huey Aansoo
YarOo...!!!

Hojatey Hain Jo Jazb Takiyon K Ghilafon Mai..♥

Thursday 2 June 2011

(MOHSIN NQVI).

Sari duniya k rivajon se adawat ki thi,

Tumko Yad hai jab main ne ik hamaqat ki thi,


Usy razdan samjh kr btaya tha hal-e-dil apna,

pr us shakas ny meri zaat sy baghavat ki thi.


Jb kisi ki yadon ny aankhun ko bhigoya tha meri

Main ne aik naam ki Tasbeeh pr Tilavat ki thi.


Us ko chor k hansty hoey ghar aa k

Itny roey thy k aankhun ny qayamt  ki thi


Mery ujarny ka jb bhi kisi ny pocha ¤MOHSIN¤

Main ne bus itna btaya k MOHABAT KI THI.

Muhabat Na Rahy To Phr Raha Kuch Bhi Nahi Krta,

Muhabat Na Rahy To Phr Raha Kuch Bhi Nahi Krta,

K Itni Tez Aandhi Mein Bacha Kuch Bhi Nahi Krta,

Wo Mujh Ko Yaad Rakhna Ab Gawara Hi Nahi Krta,

Main Jisko Yaad Rakhny K Siwa Kuch Bhi Nahi Krta,

Kaha Tha Tujh Sy Nadaan K Zulm Ki Tez Barish Mein,

Siwa Kachay Makaano K Gira Kuch Bhi Nahi Krta...!

Moazziz ban k mehfil main Adakari nahi karta,

Moazziz ban k mehfil main Adakari nahi karta,
Main chehrey pe kabhi jhooti anaa taari nahi karta,

Mera dushman merey Dastoor se waaqif nahi shayad,
Jisey main dost keh doon,us se Ghaddari nahi karta,

Yahan behtar hai Apni zaat ka humdard ho jana,
Zamana ghum to de sakta hai ghumkhaari nahi karta,

Mujey moqa shanasi ka hunar aaya nahi ab Tak,
Jahan matlab nikalta ho Samajhdaari nahi karta,.