Saturday 26 July 2014

Hamaray paoon may jo rasta tha

Hamaray paoon may jo rasta tha
Rastay may payre thay
Payroon pay jitni tayiroon ki tolia hum say
Mila karti thee
Ab wo urtay urtay thake gaii hay
Wo ghani shakhay jo hum pay sayia karti thee
Wo sab murjha gaii hay
Tum usay kehna
Laboon pay lafaz hay
Lafzoon may koi dastan, kisa kahani
Jo usay aksar sunatay thay
Kisay ja kar sunay gayay!
Khabi bikhari hoi zulfoon may hum
Myhtab kay gajray bana kar bhandnay walay
Charag or ayinay kay darmayan kab say sara-y- sahil
Kharay mujoon ko taktay hay
Usay kehna
Usay hum yadd kartay hay
Usay kehna hum a kar kud usay miltay magar maktal, badaltay
Musomoo kay khon may rangeen hay or hum
Asay buaht say musomoon kay darmian tanha kharay hay
Janay kab bulawa ho, kha hum may aj bhi ik umar ki
Wafartagi or wahshatoon ka raqse jari hay, wo bazi jo
Bisatay jan pay khalii thee, abhi hum nay na jitii hay
Na hari hay
Usay kehna
Khabi milnay chalay ayay
Usay hum yadd kartay hay

Misal e abr zameen ka libaas ho jaon

Misal e abr zameen ka libaas ho jaon
Jo youn nahi to samandar ki pyas ho jaon

Tamam din ki karhi dhoop main yeh sochta hon
Main shab ke pichlay pehar ka hiraas ho jaon

Ab apne wastay tujhay mangnay se khauf aye
Tuu hath utha kay teri iltmaas ho jaoon

Bujhi bujhi huee ankhon kee tergi ki kasam
Tujhay parhon to sitara sanaash ho jaon

Khushi milee to kayee dard mujh se rooth gaye
Dua karo kay main phir se uddas ho jaon

Meri kitab kay unwaan zara qareeb ayo
Main apne aap tera iqtbaas ho jaon

Ab apne aap sanwarnay ka shok kia
Kisee ujartay huye dil ki aas ho jaoon

Badan sy rooh jati hy to bichtii hy

Badan sy rooh jati hy to bichtii hy saaaf e maatam...
Magar kirdar mar jaye to kiu matam nahi hota ?