Monday 29 August 2011

Not a sigh not a tear

Not a sigh not a tear my pain discloses,
but they fall silently like dew on roses

Challenges are what make life interesting

Challenges are what make life interesting,overcoming them is what makes life meaningful

When u attack black ppl,they call it racism.

When u attack black ppl,they call it racism.
When u attack Jewish ppl,they call it antisemitism.
When u attack women,they call it sexism.
When u attack homosexuals,they call it intolerance.
When u attack ur country,they call it treason.
When u attack a religious sect,they call it hatred.
But,when u attack the Prophet MUHAMMAD,they call it freedom of speech!!!
Make it ur status if u care

Foolishness to live as an angel

Foolishness to live as an angel among humans

Put your limits .. before anyone puts it for you

Love is giving someone the power

Love is giving someone the power to destroy you...but trusting them not to.

when you believe in a promise

when you believe in a promise you believe in a wish that never comes true .

Us Morr se shuru karein AA phir se Zindgi

Us Morr se shuru karein AA phir se Zindgi

Har Shay Jahan Haseen THI, aor Dono Ajnabi

Kuch taluq jo na hota tu khafa kiun hote

Kuch taluq jo na hota tu khafa kiun hote.....

Be rukhi un ki muhabbat ka pata deti hai....!!!

Bicharney Ka Iraada Ho

Bicharney Ka Iraada Ho Tou Mujh Se Mashwara Kerna

Mohabbat Mein Koi Bhi Faisla “Za’ati” Nahi Hota ..

Ishq ny seekh he li waqt ki taqseem k ab

Ishq ny seekh he li waqt ki taqseem k ab.......

Wo mujy yaad to aata hy mager kaam k baad .......!!!!!

Wo jo aa jate the ankhon main sitaare le ker,

Wo jo aa jate the ankhon main sitaare le ker,
Jaane kis dais gaye, khuwab humare le ker,

Chhaaon main bethne waale hi to sab se pehle,
Peirr girta hai to aa jate hain aarey le ker,

Wo jo aasooda_e_sahil hain, unhein kya maloom,
Ab k moj aai to paltey gi kinaare le ker,

Aesa lagta hai k her mosam_e_hijraan main bahaar,
Hont rakh deti hai shaakhon per tumhaare le ker,

Sheher waalon ko kahan yaad hai wo khuwab farosh,
Phirta rehta tha jo galiyon main ghubaare le ker. . . .>

Ye bhi aik udasi hy,

Chup chup rehna kuch na kehna
Ye bhi aik udasi hy,

Hans k saaray sadmay sehna
Ye bhi aik udasi hy,

Bethay bethay kho sa jana yun he door khayalon mein,

Chaltay chaltay hanstay rehna
Ye bhi aik udasi hy,

Dil ki batain sun kr hansna ye to sb ki aadat hy,

Ghum ki baat pe hanstay rehna
Ye bhi aik udasi hy,

Maar k kankar lehrain gin’na beth k jheel kinaray per,

Kuch logoun ka hy ye kehna
Ye bhi aik udasi hy…!!

Wednesday 24 August 2011

Great liars are also

Great liars are also great magicians....Adolf Hitler

I trust no one,

I trust no one, not even myself....[Joseph Stalin]

If you want something you never had,

If you want something you never had,
do something you have never done.

Don’t go the way life takes you,
Take the life the way you go.

And remember "you are born to live" and
"not living because you are born"!!!

Don't follow the footsteps of others

"Don't follow the footsteps of others, instead, make your own, start walking today."

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !
kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa
jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa
qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa
ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !
ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa
uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa
hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa
kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa
shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa
qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa
manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa
andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa
aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa
apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
“Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa

Aa gayii yaad sham Dhalte hii

Aa gayii yaad sham Dhalte hii
Bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii
Khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
Ek zaraa sii havaa ke chalte hii
kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii
tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii

On karachi,s current situation=Sookhi roti ko behgoney k liye

Sookhi roti ko behgoney k liye roya tah mai....
Warna kis wakt aay meri ankh mai ansoo...

On Current situation karachi

Laga k Aag, Shehr ko, Ye BadShah ne Kaha,
.
Utha hy DIL me Tamashy ka,Aaj Shouq Bahut,
.
.
.
Sir Jhuka k Shah parast Bol uthey,
.
Hazoor shouq Salamat, k Shehr aur Bahut.... !!
.
Dedicated to PPP & MQM AND ANP on disaster of Karachi...
.
PRAY FOR KARACHI.........

Bohut Bebaak Aankhon Mein

Bohut Bebaak Aankhon Mein Ta'luQ Tik Nahi Sakta......

Mohabbat Mein Khashish Rakhne Ko Sharmana Zaroori Hai. ......!!!!!

Ajab junon-e-musafat main ghar se nikla tha.

Ajab junon-e-musafat main ghar se nikla tha.

Khabar nhi k suraj kidhar se nikla tha.

Ye kon phir se muje raston main chorr gya?.

Abi abi to azab-e- safar se nikla tha..

Ye teer dil mein mgar be-sabab nhi utra..

Koi to harf lab-e-charagar se nikla tha..

Main rat toot k roya to chain se soya.

K dil ka zehr meri chashm-e-tarr se nikla tha.......!!!!

Tuesday 23 August 2011

Mohabbat se Fatah Krtay hein

Mohabbat se Fatah Krtay hein Logon K Dilon ko.......
Hum aisy Sikandar hein Jo Lashkar nh Rakhty....!!!!!!!

Bakhsha Hai Tumko Husn

Bakhsha Hai Tumko Husn Hamari Nigaah Ne.....

Hum Lay Kay Aaye Hain Tumhe Hadd-e-Ghuroor Tak......!!!

Hum ne us ke baad na rakhi

Hum ne us ke baad na rakhi kisi se mohabat ki aas.....
Ik tajurba bohat tha,jo sub kuch seekha gaya.....!!!!

Meri tarah khudaa karey

Meri tarah khudaa karey tera kisi pe aaye dil........
Tuu bhi jigar ko thaam kar kehta phirey ke haaye dil.....!!!!!

Sunday 21 August 2011

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
Aye watan, karta nahin kyon doosraa kuchh baat-cheet
Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
Ab teri himmat ka charcha gair ki mehfil mein hai
Waqt aane de bata denge tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Kheench kar layee hai hamko qatl hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jamghat kooch-e-qaatil mein hai
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Haath jin mein ho junoon katate nahin talvaar se
Sar jo uth jaate hain vo jhukte nahin lalkaar se
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Hum to nikle hi the ghar se baandhkar sar pe kafan
Jaan hatheli par liye lo barh chale apane qadam
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar' Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab
Hosh dushman ke udaa denge hamein roko na aaj
Duur reh paaye jo hamse dam kahaan manzil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Jism voh kya jism hai jismein na ho khoon-e-junoon
Kya vo toofaan se lade jo kashti-e-saahil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhana hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Iss ka gilla nahi k

Iss ka gilla nahi k dua be-aser gai........

Ek AAH ki thi wo b kahin ja k mar gai......!!!!!

Saturday 20 August 2011

"Shak unko tha k raat mein

"Shak unko tha k raat mein, bosa na le lein hum....

galoon pe rakh k soye wo kalaai tamam raat......!!!!

Hum hI wafa shikan thy chalO

Hum hI wafa shikan thy chalO hum he bewafa….!

Tum tO wafa shanas thy,tum Q badal gaye???

Aankhen khuli rahen gi to manzar b aenge

Aankhen khuli rahen gi to manzar b aenge
Zinda hai dil to aur sitamgar b aenge

Pehchaan lo tamaam faqeeron k khadd o khaal
...Kuch log shab ko bhais badal kar b aenge

Gehri khamosh jheel k paani ko yun na chairr
Cheentay uray to teri qaba par b aenge

Khud ko chupa na sheesha garon ki dukaan main
Sheeshe chamak rahe hain to pathar b aenge

Mohsin abhi saba ki sakhawat pe khush na ho
Jhonkay yehi basoorat e sarr-sarr b aenge......!!!!!!

Janggal thay tareek kahin

Janggal thay tareek kahin, kahin matti rait k teelay thay,
Ishq ki rah mein anay walay pathar b nokiley thay

Teray hijar k naag ka dasna kuch itna zehreela tha,
Meri ankh se behnay walay ansu neelay neelay thay,

Sanson ki shatranj b haray phir bhi mil na paye wo,
Un k piyar mein hayal shayad, reet, riwaj, kabeelay thay..

Tum nahaq naraz hue, wrna mekhane ka pta
Hum ne har us shakhs se pucha, jis k nain nasheelay thay.....

Meri Sirkashi bhi thee munfarid.

Meri Sirkashi bhi thee munfarid...meri Aajzi bhi kamal thi

Main Anaa-parast blaa ka tha, jo gira tou apnay he paoun men....!!!

Chand ke saath kai Dard

Chand ke saath kai Dard purane nikly......

Kitne gham the Jo tere gham k bahane nikly.......!!!

Ulajhta Choor gya Wo Mujhe

Ulajhta Choor gya Wo Mujhe Sawalon me…

Wo ek Shakhs jo Apna tha Shehr walon me…

Agarchy Mujh se Taluq nahi raha lekin…

Wo Naam leta hy ab b Mera Hawalon me.......!!!!!

Jab b milte hain woh ek zakham

Jab b milte hain woh ek zakham naiya daitey hain........
Apna ye zarf hai her bar dua daitey hain......!!!!

DiL bhI gusTakh hO chaLa tha bahOt

DiL bhI gusTakh hO chaLa tha bahOt........

Shukar haI aaP bewaFa niKLe.....!!!!!!!

Ab Is Kay Bad Laga Dil To Dil Lagi Hogi....

Ab Is Kay Bad Laga Dil To Dil Lagi Hogi....

Hum Tum Pay Apni Mohabbat Tamam Kar Bethay........!!!!

Kaisy main man lon k nahi meraa koi raha.....


Wo Mayoosi Kay Lamhon Mein

Wo Mayoosi Kay Lamhon Mein Zara Bhi Hosla Deta

To Hum Kaghz Ki Kashti Pe Samnder Mein Utar Jatey.!

Guzr Rahi Hy Tmhari Kesy?

Guzr Rahi Hy Tmhari Kesy? Bichr K Hm Sy, sataa K Hm KO…....

HqeeqtOn KO ZrOor likhna, Ana Ki Khatir Chupa Na Dena…!!

Shoula-e-Husn Se Jal Jaye Na Chehre

Shoula-e-Husn Se Jal Jaye Na Chehre Ka Naqaab

Apne Rukhsar Se Parde Ko Hataye Rakhna...!!!

Bheegi hove ankhoo ka ya manzer na milay ga,

Bheegi hove ankhoo ka ya manzer na milay ga,
Gher chor kay mat jao kahi gher na milay ga,

Phir yaad bohat aye gi zulfo ki ghani sahm,
Jab dhoop main saya koi sir py na mily ga,
...
Ansoo ko kabhi owss ka qatra na sumjna,
Asa tumhay chahat ka sumander na milay ga,

Is khowab kay mahool main be-khowab hain ankhe,
Jab neend boohat aye gi to bister na mily ga,

Ya souch lo ab akhri saya hain mohabbat,
Is dar say uthoo gye to koi darn a milay ga

Bichhra kuch is ada sek palkain

Bichhra kuch is ada sek palkain bheego gya........

Jhonka tere khayal ka itna shadeed tha...!!!!!!!

Dil main hota to kisi toor nikal

Dil main hota to kisi toor nikal hi jata ........

Ab to wo shaks buhat dooor talak hy muj main....

Is Mein Shaamil Hay Mere Bakht Ki

Is Mein Shaamil Hay Mere Bakht Ki Tareekhi.....

Tum Siyaah Rang J0 Pehn0 Gay to Yaad a0nga ...

Friday 12 August 2011

"ABI GHAR NA JANA"

"ABI GHAR NA JANA"

Ye Bikhri Si Zulfein,

Ye Phela Sa Kajal,

Ye Bechain Aankhein,

Ye Simta Sa Aanchal,

Tere Haal Se Log Pehchan Lein Ge,

Tujhe Dekh Ker Sab Mujhe Jan Lein Ge,

Ye Behke Qadam

Larkhrati Jawani

Ye Betaab Dil Or Muhabbat Diwani

Shafak Jaise Galon Pe Ubhri Hui Hei

Mry Honton Ki Ik Mehekti Nishani

Tere Jism Se Urrti Mri Ye Khushbo

Suna De Gi Her Ik Ko Sari Kahani

Na Ban Jaye Apna Milan Ik Fasana

Suno Jan-e-Jana

"ABI GHAR NA JANA"(ӤӪӍĨ»»»»»

Woh Jis Ki Aankho'n Mai'n Hr Waqt

Woh Jis Ki Aankho'n Mai'n Hr Waqt Neend Rehti Hay.........

Woh Saaray Shehr Ki Neendai'n Haraam Krta Hay....

Sara hi sheher jis k janazay

Sara hi sheher jis k janazay main tha Shreek........

Tanhayon k khof say wo shakhs mar gaya.......

Sunday 7 August 2011

Ijaazat



Wo samny huwe tou ajab saniha huwa

Wo samny huwe tou ajab saniha huwa

Har harf-e-shikayat ny khud kushi kr li...!

"We know what we are,

"We know what we are, but know not what we may become"

"There is nothing

"There is nothing either good or bad but thinking makes it so"

ITs hurts to say goodbye to the person

ITs hurts to say goodbye to the person you almost gave your life to. knowing that life won't be the same w/o them. but it's better to give up the feeling. rather than to know you're the only one fighting.

Hum zindagi kie talkhyion se

Hum zindagi kie talkhyion se larr rahe thy aaj.........

Aa kar tery khyl ne acha nae kia....!!!!

: There are many people who are ready to cry

: There are many people who are ready to cry when you die

But

There may be one who is ready to die when you cry. Find that one!

FRIENDSHIP IS LIKE A PRECIOUS FLOWER

FRIENDSHIP
IS LIKE A PRECIOUS FLOWER
IT MAY STOP GROWING
OR KEEP ON FLOWING
BUT YOU WILL STILL HAVE IT FOREVER
FRIENDSHIP
ARE LIKE RAINDOW
THEY BRIGHT YOUR LIFE
WHEN YOU HAVE BEEN
THROUGH A STORM

I am not alone and am not committed

I am not alone and am not committed.....I am simply on reserve, for
the one who deserves...!

Saturday 6 August 2011

Moazziz ban k mehfil main Adakari nahi karta,

Moazziz ban k mehfil main Adakari nahi karta,
Main chehrey pe kabhi jhooti anaa taari nahi karta,




Mera dushman merey Dastoor se waaqif nahi shayad,
Jisey main dost keh doon,us se Ghaddari nahi karta,




Yahan behtar hai Apni zaat ka humdard ho jana,
Zamana ghum to de sakta hai ghumkhaari nahi karta,




Mujey moqa shanasi ka hunar aaya nahi ab Tak,
Jahan matlab nikalta ho Samajhdaari nahi karta,.

Andaz_E_Biyan Se Zahir Hai

Andaz_E_Biyan Se Zahir Hai Tere Dil Ka Khaloos......

Teri Tehreer Ka Har Lafz Teri Mohabbat Ka Pata Deta Hai...!!!

-Wohi Khuda Mehfooz Rakhey Ga

-Wohi Khuda Mehfooz Rakhey Ga Merey Ghar Ko Balaaon SAy..........

Jo Barish May Shajar Se Ghonsla Girny Nahe Deta..........

Mere be-rabt khyalat main

Mere be-rabt khyalat main kya rakha hai...........

Main to pagal hon meri baat me kya rakha hai....!!!

Uss ki niagah_e_naaz main

Uss ki niagah_e_naaz main hum bhi hain motbar......

Ae dil yeh sb kaheen teri khush_fehmian na hon...........