Saturday 31 March 2012

Khushi Aanso Shab e Furkat Wisaal e Yaar

Khushi Aanso Shab e Furkat Wisaal e Yaar Tanhai

Khuda Jane Mohabbat Kon Si Manzil Ko Kehte Hain

Uski Mohabbat Mein Sharakat Nahi Qabool

Uski Mohabbat Mein Sharakat Nahi Qabool Mujhe ...

Wo Mera Hai To Bus Khwab Bhi Mera Dekhy..!!

Tumhari baat lambi hai

Tumhari baat lambi hai daleel’en hain bahanay hain...

Hamari baat itni hai hamari aarzoo tum ho..!!

Ishq Ny to SarSari Dekha

Ishq Ny to SarSari Dekha Magar...

Parh Raha Hy Hijr Tafilann Mje....!

Saturday 10 March 2012

Chalo ab mil k hijr-o habs ka

Chalo ab mil k
hijr-o habs ka
mosam badlty hn,
Zra sa tm badl jao’ zra sa hm badaltay hn,
Bs itna yaad rakh lena k waisay km badlty hain,
Mgr jb hm badaltay han to phir paiham badlty hn,
Agr tm ye samajhtay ho tmhara gham zyada hai,
To ab ki baar aapas me hm apnay gham badaltay hain..

Yeh kuch aasan to nahin

Yeh kuch aasan to nahin hai k ham
Roothtay ab bhi hain marawat main

Mujhy Aazaad Kar Do Na

Mujhy Aazaad Kar Do Na K Mai Hun Qaid Barson Se
Judaai Ki Azziat Mein,
Zehar Bhar Dygi Ye Dunya
Meri Naazuk Tabiat Mein
Na Do Ab Hosla Mujh Ko,
Bata do Raasta Mujh Ko,
Koi Bahir Niklny Ka
Hawa Mai Phir Se Udnay Ka
Mujhy “US DAIS” Jana Hai,
Jahan Panchhi Utrtay Hain
Jahan Moasam Badalty Hain,
Meri Banjar C Aankhon Me
Meri Be’Taab SaanSon Me
Koi To Rang Bhar Do Na
Mujhy Aazad Kar Do Na,
Mujhy Aazad Kar Do Na…

Ujaar de mere dil ki dunya

Ujaar de mere dil ki dunya,
$koon ko mere tabha krdy

Mgr meri iltja hy tujse,

Idhar b apni nigha kr dy

Udas raton ki chandni me,
Kbhi na tum be’nakab aana,
Me dil pe qabu to rakh skunga,
Nigha shayad Gunha kr dy

Mujy khabar hy mujy yaqeen hy,
Tumhari Ankhon me wo asar hy,
Jo tegh-o-khanjar na kr skainge,Wo kaam teri nigha kr dy

Ye Parda dari hy kya tamasha,
Mujh men reh kr mujhi se parda?
Tabha karna hy agr mujh ko
Naqab utha or tabha krdy..

Friday 9 March 2012

Tujhe rooz dikhoon qareeb sey

Tujhe rooz dikhoon qareeb sey,,
Mere shouq bhi hain ajeeb sey,,

Mujhey mangna hai tujhi ko buss,,
Apney Rab or us ke Habib sey,,

Meri aankh mai bhi hai aajazi,,
Mere khuwaab bhi hain gareeb sey,,

Meri sub dukho ki daawa ho tum,,
Miley kya sakoon taabeeb sey,,

Main bohot khush hoon jor ke,,
Apna naseeb tere naseeb sey...!!!

Ab yeh surat hai jan-e-jaa'n k

Ab yeh surat hai jan-e-jaa'n k tuj
Bholnay main meri bhalaai hai

Thursday 8 March 2012

Don't be afraid to take risks

Don't be afraid to take risks because probably that could be the best memories that you gonna remember forever

When a person can no longer laugh

When a person can no longer laugh at himself, it is time for others to laugh at him.

Don’t expect too much

Don’t expect too much. It’s always better to feel surprised than to feel disappointed.

Andaz_E_Biyan Se Zahir Hai

Andaz_E_Biyan Se Zahir Hai Tere Dil Ka Khaloos......

Teri Tehreer Ka Har Lafz Teri Mohabbat Ka Pata Deta Hai...!!!

I won't promise to be ur friend

I won't promise to be ur friend forever, coz I won't live that long. But let me be ur friend as long as I live.

ABI GHAR NA JANA

"ABI GHAR NA JANA"

Ye Bikhri Si Zulfein,

Ye Phela Sa Kajal,

Ye Bechain Aankhein,

Ye Simta Sa Aanchal,

Tere Haal Se Log Pehchan Lein Ge,

Tujhe Dekh Ker Sab Mujhe Jan Lein Ge,

Ye Behke Qadam

Larkhrati Jawani

Ye Betaab Dil Or Muhabbat Diwani

Shafak Jaise Galon Pe Ubhri Hui Hei

Mry Honton Ki Ik Mehekti Nishani

Tere Jism Se Urrti Mri Ye Khushbo

Suna De Gi Her Ik Ko Sari Kahani

Na Ban Jaye Apna Milan Ik Fasana

Suno Jan-e-Jana

"ABI GHAR NA JANA"(ӤӪӍĨ»»»»»

DiL bhI gusTakh hO chaLa tha

DiL bhI gusTakh hO chaLa tha bahOt........

Shukar haI aaP bewaFa niKLe.....!!!!!!!

Ajab junon-e-musafat main ghar se nikla tha.

Ajab junon-e-musafat main ghar se nikla tha.

Khabar nhi k suraj kidhar se nikla tha.

Ye kon phir se muje raston main chorr gya?.

Abi abi to azab-e- safar se nikla tha..

Ye teer dil mein mgar be-sabab nhi utra..

Koi to harf lab-e-charagar se nikla tha..

Main rat toot k roya to chain se soya.

K dil ka zehr meri chashm-e-tarr se nikla tha.......!!!!

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !

kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh 
phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa

jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa

qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa

ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !

ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa

uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa

kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa

shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa

qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa

manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa

andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa

aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa

apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
“Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa

Qafas Men Rehtay Rehtay Ho Gai

Qafas Men Rehtay Rehtay Ho Gai Sayyaad Say Ulfat
Men Khud Hee Kaat Leta Hon, Meray Jab Par Nikaltay Hen

Dekhye ho gai Ghalat fehmi

Dekhye ho gai Ghalat fehmi
Muskrana koi zroori thaaa ..

Ham Aaj Saath Saath Nahi

Ham Aaj Saath Saath Nahi Chaand Raat Hai
Tere Khyal Saath Hain Aur Chaand Raat Hai

Uss ny piyaar ka khail bhi

Uss ny piyaar ka khail bhi nafrat se khaila,

Harr baar voh zalim meri hasrat se khaila..

Tanhai ko kaisy Chor doon

Tanhai ko kaisy Chor doon...
Barsoon mein to Ik yaar mila hai..!!

Wednesday 7 March 2012

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Aye watan, karta nahin kyon doosraa kuchh baat-cheet
Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai

Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
Ab teri himmat ka charcha gair ki mehfil mein hai

Waqt aane de bata denge tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai

Kheench kar layee hai hamko qatl hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jamghat kooch-e-qaatil mein hai

Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar

Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Haath jin mein ho junoon katate nahin talvaar se
Sar jo uth jaate hain vo jhukte nahin lalkaar se

Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hum to nikle hi the ghar se baandhkar sar pe kafan
Jaan hatheli par liye lo barh chale apane qadam

Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar
Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai

Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab
Hosh dushman ke udaa denge hamein roko na aaj

Duur reh paaye jo hamse dam kahaan manzil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Jism voh kya jism hai jismein na ho khoon-e-junoon
Kya vo toofaan se lade jo kashti-e-saahil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhana hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Don't follow the footsteps

"Don't follow the footsteps of others, instead, make your own, start walking today."

Hamay B Pata Tha K Log Badal Jatay

Hamay B Pata Tha K Log Badal Jatay Hain,....

Magr Hum Ne Usay Kabi Logo Mai Gina he Na Tha...

Dyaar-E-Gher mei Mehram

Dyaar-E-Gher mei Mehram Agar Nhi Koi 
To Faiz Zikr-E-Watan Apne Ru Baru Hi Sahi ...

Dyaar-E-Gher mei Mehram

Dyaar-E-Gher mei Mehram Agar Nhi Koi..
To Faiz Zikr-E-Watan Apne Ru Baru Hi Sahi ...

Mohabat men khasara kr lia

Mohabat men khasara kr lia hy,...
Tery dukh ko gvara kr lia hy....!!!

Hava k darbdar hony ke tohmat

Hava k darbdar hony ke tohmat...
Meri "devangi" k sir gai hy..!!.

Meri Devangi py is qadar heraan

Meri Devangi py is qadar heraan hoty ho..???
Mera nuqsaan to dekho Mohabat Gumshuda meri..:-(

From all the toys in the world

From all the toys in the world,people tend to choose "FEELINGS" to play with.

From all the toys in the world

From all the toys in the world,people tend to choose "FEELINGS" to play with.

Kuch toh ay ishq

Kuch toh ay ishq meherbaani kar...
Tujhko barso'n se paal rakha hai..!!

Ik hakeekat sahi firdoos main

Ik hakeekat sahi firdoos main horon ka wajood...
Main husan e insaan sy nimat lon to wahan tak dekh0n..

Sirf is shook main puchi hain hazaron batin...
Main tera husn tery husn e byaan tak dekhon...

Shidat e gum ko tabasum sy

Shidat e gum ko tabasum sy chupany walo...

Dil ka her  zakham nigaahon sy ayan hota hyy...

Haraf e ilzam banon ya

Haraf e ilzam banon ya k dua ho ja0n...

Kash main b tery honton sy adaa ho ja0n...

Yunhi ah gaye ankh main anso

Yunhi ah gaye ankh main anso...
 
Jaiye ap koi baat nahi....

Dil jeetny k fun py agr

Dil jeetny k fun py agr dastras na ho...

Dukhti ragon ko cherna danishwari nahi...

Or to koi khaas bat nahi

Or to koi khaas bat nahi...

Muskuraaty bari adaa sy ho..

Abi aye ho to betho

Abi aye ho to betho wafa ki bat krin...

Wafa ki bat main her bewafa sy krta hun...

Hal nikaala hy ye udaasi ka

Hal nikaala hy ye udaasi ka...

Ab mukamal udaaass rehta hun...

Utha k chuum li hain chand murjaii

Utha k chuum li hain chand murjaii hoi kaliyan..

Na aye tum to yun jashan e bharan kr liyaa main ny...

Ye soch kar k wo khirki sy


Ye soch kar k wo khirki sy jank ly shayad...

Gali main khailty bachy lara diyee main ny..!!

Friday 2 March 2012

Usy Apny Dard ki Fikr Thi

Usy Apny Dard ki Fikr Thi Wo Jo
Mere Waqif-e-Hal Tha,
Wo Jo Uski Subh-e-Orooj Thi Whi
Mera Waqat-e-Zawal Tha, 
Mere Dard Wo kesy janta Meri Bat
Wo kesy Manta, 
Wo Tou khud Fana k Safar Me Tha
Usy Rokna B Mahal Tha, 
Kahan Jao Gy Muje Chor kar Me
poch poch k Thak Gya, 
Wo Jawab Mujko Na Da saka Wo To
khud Sarpa-e-Sawal Tha, 
Wo Mila To sadiyo k Bad B Mery
Lub PE Koi Gila Na Tha 
Usy Meri Chup NE Rula Dya Jisy
Guftugu Me Kamal Tha.