Wednesday 7 March 2012

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Aye watan, karta nahin kyon doosraa kuchh baat-cheet
Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai

Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
Ab teri himmat ka charcha gair ki mehfil mein hai

Waqt aane de bata denge tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai

Kheench kar layee hai hamko qatl hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jamghat kooch-e-qaatil mein hai

Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar

Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Haath jin mein ho junoon katate nahin talvaar se
Sar jo uth jaate hain vo jhukte nahin lalkaar se

Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hum to nikle hi the ghar se baandhkar sar pe kafan
Jaan hatheli par liye lo barh chale apane qadam

Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar
Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai

Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab
Hosh dushman ke udaa denge hamein roko na aaj

Duur reh paaye jo hamse dam kahaan manzil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Jism voh kya jism hai jismein na ho khoon-e-junoon
Kya vo toofaan se lade jo kashti-e-saahil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhana hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

No comments:

Post a Comment