Tuesday 3 January 2012

sadgi par us ki mar jaane ki hasrat

saadgii par us kii mar jaane kii hasrat dil mai hai
bas nahii chaltaa ki phir Khanjar kaf-e-qaatil mai hai ..

dikhanaa taqariir kii lazzat ki jo usne kahaa
mai ne yah jaanaa ki goyaa yah bhii mere dil mai hai ..

garache hai kis kis buraaii se vale baa ii.n hamaa
zikr meraa mujh se behatar hai ki us mahafil mai hai ...

bas hujuum-e-naa umiidii Khaak meai mil jaaygii
yah jo ik lazzat hamaarii sa_i-e-behaasil mai hai ...

ranj-e-rah kyon khenchiye vaamaandagii ko ishq hai
uTh nahii saktaa hamaaraa jo qadam manzil mai hai ...

jalvaa zaar-e-aatash-e-dozaKh hamaaraa dil sahii
fitnaa-e-shor-e-qayaamat kis kii aab-o-gil mai hai ..

hai dil-e-shoriidaa-e-Gaalib tilism-e-pech-o-taab
raham kar apnii tamannaa par ki kis mushkil mai hai ....

No comments:

Post a Comment