Thursday 8 December 2011

tum kaisi mohabbat karte ho.......

Tum jahan pay baith k jate ho..
jis cheez ko haath lagate ho..
main waheen pe betha rehta hoon..
us cheez ko choota rehta hoon..

main aisi mohabbt karta hoon..
tum kaisi mohabbat karte ho.......

tum jis se haans k miltay ho
main us ko dost banata hoon..
tum jis rustay par chaltay ho
main us say aata jata hoon..

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho..

tum jin ko dehtay rehtay ho wo khuwab....
sarhanay rakhta hoon..
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaye
to main pehroon us ko sochta hoon

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho...

jin logon main tum rehtay ho
tum jin say batain kartay ho
tum jin say haans k miltay ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho...

jis bagh main subh ko jate h
jis sabzay par tum chaltay ho
jo shaakh tumhain choo jati hay
jo khushboo tum ko bhati hay
wo oos tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samaye rehte ho

main aisi mohaabat karta hoon ...
tum kaisi mohabbat kartay ho...

har moqay par har manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho....???

No comments:

Post a Comment