Tuesday 11 October 2011

Us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto

Us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto

Ashk-e-rawan ki nahar hai aur ham hain dosto

Sham-e-alam dhali to chali dard ki hawa
 
Raton ka pichla pahar hai aur ham hain dosto

Ankhon main ur rahi hai luti mahfilon ki dhul
 
Ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain dosto

Ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yad
 
Tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain dosto

No comments:

Post a Comment