Monday 29 August 2011

Wo jo aa jate the ankhon main sitaare le ker,

Wo jo aa jate the ankhon main sitaare le ker,
Jaane kis dais gaye, khuwab humare le ker,

Chhaaon main bethne waale hi to sab se pehle,
Peirr girta hai to aa jate hain aarey le ker,

Wo jo aasooda_e_sahil hain, unhein kya maloom,
Ab k moj aai to paltey gi kinaare le ker,

Aesa lagta hai k her mosam_e_hijraan main bahaar,
Hont rakh deti hai shaakhon per tumhaare le ker,

Sheher waalon ko kahan yaad hai wo khuwab farosh,
Phirta rehta tha jo galiyon main ghubaare le ker. . . .>

No comments:

Post a Comment