Saturday 2 April 2011

Muhabtain jab sumaar karna

Muhabtain jab sumaar karna to saazishain bhi shumaar karna

jo maire hissey may aayain wo azziatain bhi shumaar karna








jalaye rakhungi main subha tak taire rastey may apni



anakhain

magar kahi zabt toot jaey to barishain bhi shumaar karna






jo harf loh_e_wafa par likhey huey hain unko bhi daikh laina


jo raygaan ho gai wo saari ibartain bhi shumaar karna






ye sardion ka udaas mousam k dharkanain barf ho gai hain


jab inki yakh bastagi parakhna tamaztain bhi shumaar karna






tum apni majboorion k qissey zaroor likhna wazahton se


jo meri aankhon may jal bujhi hain wo khawahishain bhi



 shumaar karna.........

No comments:

Post a Comment