Wednesday 20 April 2011

Chand suraj aur taare ajnabi,

Chand suraj aur taare ajnabi,
Ek musafir sab nazaare ajnabi,


 Mojza hai gardishe e halaat ka,
 Shehr apna log saare ajnabi,


 Ajnabiyat ka ta'aluq khoob hai,
 Hum tumhare tum hamare ajnabi,


 Jaan k dushman hamare aashna,
Ashna saare k saare ajnabi,


Zindagi ki talhiyan hai hum nasheen,
 Phool khushboo rung saare ajnabi,


 Wo jisse humne apni pehchaan di,
Aaj woh hum ko pukaare ajnabi

No comments:

Post a Comment