Tuesday 8 March 2011

Roz taaron ki numaish me khalal parta hai,


Roz taaron ki numaish me khalal parta hai,


Chand pagal hai andhery me nikal parta hai,


Aik deewana musafir hai meri ankhon me


Waqt be-waqt Thehr jata hai chal parta hai.


Apni tabeer k chakar mein mera jagta khawab


Roz suraj ki tarha ghar se nikal parta hai


Roz pathar ki himayat me ghazal likhtay hain


Roz sheeshon se koi kam nikal parta hai,


Us ki yaad ai hai sanso zara ahista chalo


Dharkano se b ibadat me khalal parta hai...

1 comment: