Friday 11 March 2011

Khirki' Chand' kitab aur main,


Khirki' Chand' kitab aur main,


Mudat se ik baab aur main,


Shab bhar khelain apas main,


Do ankhain ik khawab aur main,


Mouj aur kashti sahil per,


Dariya mai gardab aur main,


Sham,
udaasi,
khamoshi,


Kuch kanker talaab aur main,


Har shab pakrey jatey hain,


Meethi  neend,
ik khwab aur main.

No comments:

Post a Comment