Tuesday, 24 January 2012

Taar-e-rag-e-hayaat jo larzaan hai aaj kal

Taar-e-rag-e-hayaat jo larzaan hai aaj kal
Saaz-e-wafa pe koi ghazal khwaan hai aaj kal

Markaz bana hua hoon kisi ki nigaah ka
Mujh par gham-e-hayat bhi aasan hai aaj kal

Phir hain junoon nawaaz nigahon ki shokhiyan
Maa’il ba’naaz deeda-e-janaan hai aaj kal

Daanista phir kisi ki tawajjo hai is taraf
Barbadiyon ka phir koi samaan hai aaj kal

Tajdeed-e-wada haa-e-wafa chaahata hoon main
Phir shamma-e-ishq dil main farozaan hai aaj kal

Wo meri kaiynaat-e-mohabbat se kya gaye
Dunyaa-e-aarzu meri weeraan hai aaj kal

Wajid kisi se phir hai umeed-e-wafa mujhe
Phir aarzu-e-khwaab pareshaan hai aaj kal

Monday, 23 January 2012

Libas tun sa utaar dena

Libas tun sa utaar dena
kisi ko bahoun ka haar dena
phir uska jazboun ko maar dena
agar muhabat yahi ha jana ....tww maaf karna mja nahi ha
Gunha karnay ka soch lena
Haseen paryain daboch lena

phir uski ankhain hi noch lena
agr muhabat yahi ha jana......tw maaf karna mja nahi ha
kisi ko jazboun ki dhall dena
phr uski izzat uchal dena

agar muhabat yahi ha jana......tw maaf karna mja nahi ha
andhari nagri main chalty jana

haseen kalyain maslty jana
aur apni ftrat pa muskrana
agar muhabat yahi ha jana....tw maaf karna mja nahi ha ....

Sunday, 22 January 2012

Kis kis ko bataye ge judayi

Kis kis ko bataye ge judayi ka sabab hum

Tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa

Wednesday, 18 January 2012

Ye fakhr tou haasil hai

Ye fakhr tou haasil hai burey hain ya bhaley hain

Do chaar qadam hum bhi tere saath chaley hain!

Friday, 13 January 2012

Apna Tawan lay kay

Apna Tawan lay kay chorary ga,
ISHQ hai, jaan lay kay choray ga......!!!

Aapka Zikr , Aapki Tamanna

Aapka Zikr , Aapki Tamanna , Aapki Baatein

Waqt kitna keemati hai in dino....!!!

Tuesday, 10 January 2012

Phir kahan hisaab rehta

Phir kahan hisaab rehta hay,,,,
Ishq jab be-hisaab ho jaye......!

Apnay halaat ka bhi ehsaas nahi

Apnay halaat ka bhi ehsaas nahi ab mujhko.......
Mainey auron se suna hai k pareshan hoon mein.....

Teri majbooriyan drust

Teri majbooriyan drust magar

Tu ne wada kia tha yaad to kar . . .!!!

Monday, 9 January 2012

Do chaar nahi mujh ko faqat

Do chaar nahi mujh ko faqat ek hi dikha do.....

woh shakhs jo baahir se bhi andar ki tarha ho

Ankhon mein nami c hai

Ankhon mein nami c hai chup-chup se wo baithe hain

Nazuk si nigaahon mein nazuk sa fasaana hai....

Thursday, 5 January 2012

My Silence Doesn't Mean m Gone,

My Silence Doesn't Mean m Gone,
My Quitness Doesn't Mean m Dead or Apart from U,
But Deep in my HEART , Smwhere, Everytym....
Ur always Remembered, Cared n Missed ....:) ♥