Showing posts with label Munir niazi. Show all posts
Showing posts with label Munir niazi. Show all posts

Tuesday, 11 October 2011

Us simt mujh ko yar ne jane nahin diya

 Us simt mujh ko yar ne jane nahin diya
 
Ek aur shahar-e-yar main ane nahin diya

Kuch aur waqt chahte the k sochen tere liye
 
Tune wo waqt ham ko zamane nahin diya
            
Manzil hai is mahak ki kahan kis chaman main hai
 
Is ka pata safar main hawa ne nahin diya

Roka ana ne kawish-e-besud se mujhe
 
Us but ko apna hal sunane nahin diya

Uai jis k bad ahad-e-zawal-ashna "Munir"
 
Itna kamal ham ko Khuda ne nahin diya

Zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya


            Zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya
              
Duniya main khamoshi se guzar jayen ham to kya

Hasti hi apni kya hai zamane k samne
                  
Ek khwab hain jahan main bikhar jayen ham to kya

 Ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
    
  Sham a gai hai laut k ghar jayen ham to kya
                
    Dil ki khalish to sath rahegi tamam umr
                     Dariya-e-gam k par utar jayen ham to kya

Us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto

Us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto

Ashk-e-rawan ki nahar hai aur ham hain dosto

Sham-e-alam dhali to chali dard ki hawa
 
Raton ka pichla pahar hai aur ham hain dosto

Ankhon main ur rahi hai luti mahfilon ki dhul
 
Ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain dosto

Ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yad
 
Tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain dosto

Is shehr-e-sang dil ko jala dena chahiye


Hmesha dair kr deta hun mn.....


Gam ka wo zor ab mere andar nahin raha

Gam ka wo zor ab mere andar nahin raha
Is umr main main itna samarwar nahin raha
Is ghar main jo kashish thi gai un dinon k sath
Is ghar ka saya ab mere sar par nahin raha
Wo husn-e-naubahar abad shauq jism sun
Rahna tha us ko sath mere par nahin raha
Mujh main hi kuch kami thi ki behtar main un se tha
Main shahar main kisi k barabar nahin raha
Rahbar ko un k hal ki ho kis tarah khabar
Logon k darmiyan wo akar nahin raha
Wapas na ja wahan ki tere shahar main 'Munir'
Jo jis jagah pe tha wo wahan par nahin raha

Wednesday, 24 August 2011

Aa gayii yaad sham Dhalte hii

Aa gayii yaad sham Dhalte hii
Bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii
Khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
Ek zaraa sii havaa ke chalte hii
kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii
tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii