Tuesday, 24 January 2012

Taar-e-rag-e-hayaat jo larzaan hai aaj kal

Taar-e-rag-e-hayaat jo larzaan hai aaj kal
Saaz-e-wafa pe koi ghazal khwaan hai aaj kal

Markaz bana hua hoon kisi ki nigaah ka
Mujh par gham-e-hayat bhi aasan hai aaj kal

Phir hain junoon nawaaz nigahon ki shokhiyan
Maa’il ba’naaz deeda-e-janaan hai aaj kal

Daanista phir kisi ki tawajjo hai is taraf
Barbadiyon ka phir koi samaan hai aaj kal

Tajdeed-e-wada haa-e-wafa chaahata hoon main
Phir shamma-e-ishq dil main farozaan hai aaj kal

Wo meri kaiynaat-e-mohabbat se kya gaye
Dunyaa-e-aarzu meri weeraan hai aaj kal

Wajid kisi se phir hai umeed-e-wafa mujhe
Phir aarzu-e-khwaab pareshaan hai aaj kal

No comments:

Post a Comment