Saturday, 26 July 2014

Hamaray paoon may jo rasta tha

Hamaray paoon may jo rasta tha
Rastay may payre thay
Payroon pay jitni tayiroon ki tolia hum say
Mila karti thee
Ab wo urtay urtay thake gaii hay
Wo ghani shakhay jo hum pay sayia karti thee
Wo sab murjha gaii hay
Tum usay kehna
Laboon pay lafaz hay
Lafzoon may koi dastan, kisa kahani
Jo usay aksar sunatay thay
Kisay ja kar sunay gayay!
Khabi bikhari hoi zulfoon may hum
Myhtab kay gajray bana kar bhandnay walay
Charag or ayinay kay darmayan kab say sara-y- sahil
Kharay mujoon ko taktay hay
Usay kehna
Usay hum yadd kartay hay
Usay kehna hum a kar kud usay miltay magar maktal, badaltay
Musomoo kay khon may rangeen hay or hum
Asay buaht say musomoon kay darmian tanha kharay hay
Janay kab bulawa ho, kha hum may aj bhi ik umar ki
Wafartagi or wahshatoon ka raqse jari hay, wo bazi jo
Bisatay jan pay khalii thee, abhi hum nay na jitii hay
Na hari hay
Usay kehna
Khabi milnay chalay ayay
Usay hum yadd kartay hay

Misal e abr zameen ka libaas ho jaon

Misal e abr zameen ka libaas ho jaon
Jo youn nahi to samandar ki pyas ho jaon

Tamam din ki karhi dhoop main yeh sochta hon
Main shab ke pichlay pehar ka hiraas ho jaon

Ab apne wastay tujhay mangnay se khauf aye
Tuu hath utha kay teri iltmaas ho jaoon

Bujhi bujhi huee ankhon kee tergi ki kasam
Tujhay parhon to sitara sanaash ho jaon

Khushi milee to kayee dard mujh se rooth gaye
Dua karo kay main phir se uddas ho jaon

Meri kitab kay unwaan zara qareeb ayo
Main apne aap tera iqtbaas ho jaon

Ab apne aap sanwarnay ka shok kia
Kisee ujartay huye dil ki aas ho jaoon

Badan sy rooh jati hy to bichtii hy

Badan sy rooh jati hy to bichtii hy saaaf e maatam...
Magar kirdar mar jaye to kiu matam nahi hota ?

Friday, 18 April 2014

ABI GHAR NA JANA

"ABI GHAR NA JANA"

Ye Bikhri Si Zulfein,

Ye Phela Sa Kajal,

Ye Bechain Aankhein,

Ye Simta Sa Aanchal,

Tere Haal Se Log Pehchan Lein Ge,

Tujhe Dekh Ker Sab Mujhe Jan Lein Ge,

Ye Behke Qadam

Larkhrati Jawani

Ye Betaab Dil Or Muhabbat Diwani

Shafak Jaise Galon Pe Ubhri Hui Hei

Mry Honton Ki Ik Mehekti Nishani

Tere Jism Se Urrti Mri Ye Khushbo

Suna De Gi Her Ik Ko Sari Kahani

Na Ban Jaye Apna Milan Ik Fasana

Suno Jan-e-Jana

"ABI GHAR NA JANA

Na howa naseeb karaaar e jaan

Na howa naseeb karaaar e jaan hawas e karaar b ab nahi...
Tera intzaar buhat kiya,tera intzaaar b ab nahi...

Ye hum zmeen py chal k

Ye hum zmeen py chal k rwa rwi main girrry...

Ye ap itni bulandi sy kis kushii main girryyy???

Ye khuda ki dain ajeeb hai

Ye khuda ki dain ajeeb hai k isi ka naam naseeb hai ...
Jisy tu ny chaha wo mil gya jisy main ny chaha wo milaaa nahi...

Ab zra tafseel sy ay kaseed e khush

Ab zra tafseel sy ay kaseed e khush row bta...
Us ny pehly kya kaha,phr kyaa kaha,phirrrrr kyaa kaha...

Na karo behass haar jao gi

Na karo behass haar jao gi...

Husn itni bari dleeel nahi...

Nama bar tu hi bta

Nama bar tu hi bta tu ny to dekhy hon gy...

Kaisy hoty hain wo khaaat jin k jawab aty hain...

Yaad us ki itni khoob nahi

Yaad us ki itni khoob nahi meer baz ah....

Nadaan phr wo g sy bulaya na jaye ga...

Us ko dekha nahi

Us ko dekha nahi kai din sy....
Ankh bekaar hi na ho jayee...

Wo jis k shaany py hath rakh kr

Wo jis k shaany py hath rakh kr safar kiya tu ny manzilon ka...
Teri gali sy najany kiu aj sir jokaye guzar gya wo...

Ranjash hi sahi

Ranjash hi sahi dil hi dukhaany k liye ah...
Ah phr sy mujy choor k jany k liye aah...

Dekhiyee nakaam keh kar

Dekhiyee nakaam keh kar mat inhain dudkariye...
Kaam any hain yehi nakaam jazby ap k...

Yun b hum door door rehty thy

Yun b hum door door rehty thy
Yun b seeny main ik kadoorat thi

Tum ny rasman bulaa dia warna
Is takaluf ki kya zroorat thi